*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
|
****************************************************************************
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
****************************************************************************
khudse duur kar raha hun tumko buss tum khush rehna,
dil karlena pathhar is pyaar ko kisi k aage na kehna,
tum har pal bass mujhe apne aap me mehsuus karna,
oor har pal bass mere bhi uhin dil me samaai rehna,
uss rooz se tuut jaayega rishta ye humaare pyaar ka,
jis din apne shohar se pehnogi mangal suutr ka gehna,
uss din se bass mujhe ek sapana samajh kar bhool jana,
oor apne patni dharm ki mariyaada mein khushi se rehna,
tumhe kasam hai uss din k baad apne aansuon se keh dena,
ki aaj ke baad tum iss{avt}ki yaad me kabhi na behna,
****************************************************************************
Mujhe gale se laga lo, bahot udas hun mein,
Gham e Jahan se chuda lo, bahot udas hun mein,
Yeh intezar ka dukh ab saha nahin jaata,
Mujhe paas bula lo, bahot udas hun mein,
Meri har sans mein, milne ki pyas palti hai,
Sulagh raha hai badan aur ruhh jalti hai,
Bacha sako to bacha lo, bahot udas hun mein,
Bhatak chuka hun bahot zindagi ki rahon mein,
Mujhe aake chupa lo tum apni baahon mein,
Bin tere mar na jaun kahin,
Mera sawal na taalo, bahot udas hun mein.
****************************************************************************
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
naseeb hon khushiyan tumhain tum khush raho sada
tum ko rahat milay , tum ko chahat milay
tumhain saray jahan ki muhabbat milay
jahan main sab se hon achay tumharay naseeb
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb tumharay
dil ki har aarzooo poori Khuda karay
tumhain chahnay walon ko kabhi bhi na juda karay
mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyaan
dua hay bad tum ko kabhi gham na milay yahan
****************************************************************************
Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh
Unki hasi ko apne hoton se muskurakar dekh
Unke ashkon ko apni ankhon se girakar dekh
unki bechainiyon ke apne dil main basa ker dekh
ye mohabbat ek hasin tohfa hai ae dost
kabhi mohabbat ko is tarah bhi nibhakar dekh
****************************************************************************
Hamari ghalti ye ki humne matlab se pyar nahi kiya,
Ya ye thi ghalti ki apni zubaan se dilon par vaar nahi kiya,
Ek baar basaya jisko bhi dil mein to usse kabhi bahar nahi kiya,
Shayad ye thi ghalti ke sabpe vishwas kiya to kuch accha nahi kiya,
Apno ya gairon ki cchodiye humne to mazhab ka bhi fark nahi kiya,
Thokar khakar bhi muskuraye aur muft mein gham bhi paaya,
Phir bhi hai khushnasibi apni ke hamein pyar karna aise hi aaya
****************************************************************************
uske bina ..... sab suna suna lagta hai
haste hain yeh lab ......magar dil rota hai
mujhe jabse...... usne hai akela choda
aisa lagta hai ....maine ghum se nata hai joda
kehti hai zubaan kuch... magar yeh khwahishein khamosh hain
sunaati hai dil mera koi afsana ....to hum rote hain
jab haste hain yeh lab.... tu uski yaad aati hai
uske bina yeh muskaan bhi adhoori lagti hai
****************************************************************************
Kalam Utthai Hai Lafz Nahi Milta
jisko Dhund Rahe hai Woh Shakhs Nahi Milta,
Firte hai Woh Zamane Ki Talash Main
Bus EK Hamare liye Unhe Waqt Nahi Milta
****************************************************************************
1 2 3 4 5 6 7 8 9 10
**************************************************************************** |
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
*
|