Dil ki gahraiyon se chahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapno ko sarahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Chahat ko samjhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Shararton mein Ulajhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapano ki galiyaon main Ghoome,
Usaka mujhe intzar hai.
Apane khwabon main mujhe dhoondhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Main jisaki manjil hoon,
Usaka mujhe intzar hai.
Jo mera sahil hai,
Usaka mujhe intzar hai.
Jise wafa ki pahchan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Thoda samajhdar,thoda nadan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
************************************************************************************************************
tumhe main chaand bhi nahi keh sakta
kyonki suna hai chaand me to daag hota hai
tumhe main suraj bhi nahi keh sakta
kyonki suraj me to bahut taap hota hai
tumhe main barkha ka baadal bhi nahi keh sakta
kyon ki baadal to bahut kala hota hai
tumhe main dharaa bhi nahi keh sakta
kyonki dharaa to khud bahut pyaasi hoti hai
tumhe main samudr bhi nahi keh sakta
kyonki samudr to bahut khara hota hai
tumhe main sona bhi nahi keh sakta
kyonki sona to ghamand ka prateek hota hai
tumhe main kis nam se pukaarun kis se tulna karun
shayad tum iss {gareeb} ki koi kalpna ho
mere shabdon me dhali koi {geetika} ho
iss dil se nikle jazbaat ho or kuchh nahi
bas kuchh nahi or kuchh nahi
**************************************************************************************************************
Na khawabo me dekha, na nazaro se dekha,
Hazaro me humne ek dosti ko dekha
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene main ek tumko he dekha
Rishton ki ye duniya hai nirali,
Sab rishton se pyari hai dosti ,
Manzur hai aansu bhi aakhon mai hamari,
Agar aa jaye muskan hotho pe kisi ke.
Dosti me kitni sacchai hoti hai
Ye toh wohi jaane jisne ki ho DOSTI KABHI
************************************************************************************************************
Payar ke deep jalanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni jaan say janay walay kuch kuch pagal hotay hain
hijr kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsas hua
pagal ko samjhanay walay kuch kuch pagal hotay hain
jaan say payaray logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
sari baat batanay walay kuch kuch pagalhotay hain
khawbon main bhi piya milan kay sapnay dekhtay rehtay hain
neendon main muskanay walay kuch kuch pagal hotay hain
is jhooti nagri main hum nay yehi hamesha dekha hai
sachi baat batanay walay kuch kuch pagal hotay hain
payar jinhain ho jaey un ko chain bhala kab mil pata hai ?
shab bhar ashk bahanay walay kuch kuch pagal hotay hain
apni zaat say ujray gulshan say woh piyar kahan kartay hain?
auroon ko mehkanay walay kuch kuch pagal hotay hain
************************************************************************************************************
us kay ishq main bheeg kay hum ko yeh ehsas hua
dil ki baat main anay walay kuch kuch pagal hotay hain
Kacchi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron main basa kar na giraana mujko !
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !
Baat karnay main jo mushkil ho tumhay mehfil main,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !
Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !
Apnay rihtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !