Aaina hoon main mere saamne aakar dekho
khud nazar aaogye Ek baar aankh mila kar dekho
mere gham main meri takdeer nazar aati hai
dug magaao ge mera dard utha ker dekho
yun to aasaan nazar aata hai manzil ka safar
kitna mushqil hai meri raah se jaaker dekho
bazam ka meri charagaan hai nazar ka dhoka
kin andheron mai bhatakta hoon main aaker dekho
dil tumhara hai main ye jaan bhi dedoon tum per
bas mera saath zara dil se nibha ker dekho
mout bar haq hai mager tum se ye waada hai mera
laut aaounga tum ikbaar bula ker dekho
*********************************************************************************************************
Kucch log sitam karne ko tayyar bethey hain
kucch log mager humpe dil har bethey hain
iss kashmakash main pehchane nahi jate
kahan dushman aur kahan dost yar bethey hain
ishq ko aag ka darya hi samjhl ijiyeh huzoor
koi iss paar tou koi uss paar bethey hain
kon kehta hai ke iss sheher main sare hain bewafa
humare samne wafadar dou chaar bethey hain
kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki
aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain
duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari
kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hain
********************************************************************************************************************
Tum laut ke aaogi humse milne
Roz dil ko behlane ki aadat ho gayi
Tere waade par kya bharosa kiya humne
Ke shab bhar tera intezaar karne ki aadat hogayee
Hushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mein rone ki aadat hogaye
Kaafile nikal gaye humein chor ke
Ke ab to tanha safar ki aadat hogayee
Har morh par mili ghum ki parchhaiyan
Zindagi se samjhota karne ki aadat hogaye
Jaanta tha k nahi hosakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhey maangne ki aadat hogaye
Paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
Ke bewafaaon se dil lagane ki aadat hogaye
*************************************************************************************************************
Utri hai dil mein seedhi tirchi nazar tumhaari
Dil aarzoo karega ab umer-bhar tumhari
Kahte hai pyaar kisko? hum kya kahenge isko?
Tumko pata hai mera ,Mujhko khabar tumhari
Dil ke hazaar tukre kar ke bichaunga mein
Yun bhi sajaunga me ab rahguzar tumhari,
Is baat pe kyo aamin afsos kar rahe ho
Duniya me ho rahi hai baatein agar tumhari
***********************************************************************************************************
koi mananey wala hi nahin hai
rooth key khud hi man jata hoon main
koi nahin jo samjhaey mujhey
bus apney dil ko khud hi samjha leta hoon main
yeh dil bhi ajeeb cheez hai yaaro...
jo isse tor detey hain unhey dil main basa leta hoon main
loog bekher detey hain is dil ko
jab chaley jaatey hain to khud hi saja leta hoon main
dene wale dard de ke chale jaate hain
woh haseen yadain seene se laga leta hoon main
ab to aadat hogayee hai aisi ke
roona chahoon bhi to na jaane kyu
muskura deta hoon main
yeh kaisa tanhae ka alam hai
har taraf shor hokar bhi apne aap ko tanha paata hoon main
tum kaise suno ge meri dastaan ae Tanha
patharon ko bhi suna kar rula deta hoon main
patharon ko bhi suna kar rula deta hoon mai